Inspirational shayari!!!

November 25, 2008

tera zikr bhi aayega is fasanne mai!!!

November 25, 2008

Bas ek jhijhak hai yahi haal e dil sunane mein
Ke tera zikr bhi aayega is fasaane mein

Baras padi thi jo rukh se nakaab uthane mein
Wo chaandni hai abhi tak mere gareeb khane mein

Isi mein ishq ki kismat badal bhi sakti thi
Jo waqt beet gaya mujh ko aazmane mein

Ye kah ke toot pada shaakh e gul se aakhiri phool
Ab aur der hai kitni bahaar aane mein

Aaina kyu na doon ke tamasha kahe jise — Mirza Ghalib

November 25, 2008

Aaina kyu na doon ke tamasha kahe jise
Aisa kaha se laau ke tujhasa kahe jise

Hasrat ne la rakha teri bazm-e-khayal me
Guldasta-e-nigaah suveda kahe jise

Phoonka hai kisne goshe mohabbat mein aye khuda
Afasuun-e-intazar tamanna kahe jise

Sar par hajum-e-dard-e-garibi se daliye
Wo ek musht-e-khak ke sahara kahe jise

Hai chashm-e-tar me hasarat-e-diidar se niha
Shauq-e-ina gusekhta dariya kahe jise

Darakar hai shiguftan-e-gul haye aish ko
Sub_h-e-bahar paba-e-miina kahe jise

“ghalib” bura na man jo vaiz bura kahe
Aisa bhii koii hai ke sab achchha kahe jise

Dil mein na ho jurrat to mohabbat nahi milti — Nida Fazli

November 25, 2008

Dil mein na ho jurrat to mohabbat nahi milti
Khairat mein itni badi daulat nahi milati

Kuchh log yun hi shehar mein hum se bhi khafaa hain
Har ek se apni bhi tabiyat nahi milti

Dekha tha jise maine koi aur tha shaayad
Wo kaun hai jis se teri surat nahi milti

Hanste huye chehron se hai baazaar ki zinat
Rone ko yahan waise bhi fursat nahi milti
[zinat=beauty]

Inspiring shayari !!!

November 25, 2008

Dhoop mein niklo ghataao mein naha kar dekho
Zindagi kya hai kitaabo ko hata kar dekho

Wo sitara hai chamakne do youn hi aankhon mein
kya zaroori hai use jism banaakar dekho

pattharo mein bhi zubaan hoti hai dil hote hain
apane ghar ki dar-o-deewaar saja kar dekho

faasla nazaro ka dhokha bhi to ho sakata hai
Wo mile ya na mile haath barha kar dekho

Aur bhi gham hain zamane meiN mohabbat ke siwa –Faiz Ahmed Faiz

November 25, 2008


Mujh se pahli si mohabbat, mere mahaboob, na maang
maine samajha tha ke tu hai to daraKshaaN hai hayaat
tera gham hai to gham-e-dahar ka jhagaDa kya hai
teri surat se hai aalam meiN bahaaroN ko sabaat
teri aankhoN ke siwa duniya mein rakhaa kyaa hai

tu jo mil jaaye to taqadir nigon ho jaaye
youn na tha, main ne faqat chaahaa thaa youN ho jaae
aur bhi dukh hain zamaane meiN mohabbat ke siwa
raahaten aur bhi hain vasl ki raahat ke sivaa
mujh se pehali si mohabbat, mere mahabuub, na maaNg

anginat sadiyoN ke taarik bahimaanaa talism
resham-o-atalas-o-kimkhaab se saje jism
khaak meiN lithaDe hue khooN meiN nahalaaye huye
jism nikale hue amaraaz ke tanavvuroN se
pip bahati hui galate hue naasu=uroN se
laut jaati hai idhar ko bhi nazar kyaa kije
ab bhi dilakash hai teraa husn, magar kya kije

aur bhi gham hain zamaane meiN mohabbat ke siwa
raahateiN aur bhi haiN vasl ki raahat ke sivaa
mujh se pahali si mohabbat, mere mahabuub, na maaNg

shaam dhale !!!

November 25, 2008

Chali aati hain dabe paaon teri yaaden shaam dhale
ke hoti hai chiragan dil ki mehfil shaam dhale

Huye tum kin raahon ke musaafir,itna to bata dete
ke laut aate hain panchi bhi ghar ko shaam dhale

Tere intezaar mein yoon har roz jhilmilati hain aankhen
ke jaise mazaar pe jalta hai koi diya shaam dhale

Laut aaye na kahin takra ke arsh se duaa meri
dil se aati hai aksar ye sadaa shaam dhale

Teri doori ka gham sataata rehta hai mujh ko
tujh bin udaas si hoti hai fazaa shaam dhale

Teri yaadon se bandhi rehti hai dil ki dharkan
har dharkan se tere naam ki aati hai sadaa shaam dhale


Din ka koi pal bhi teri yaad se ghaafil nahi hota
teri kami ka magar hota hai ehsaas shaam dhale

Teri yaadon ke bina!!!

November 25, 2008
Teri yaadon ke bina koi lamha guzaara nahin
ik pal nahin jab tumhe humne pukaara nahin
meri naakaamiyon ka itna bhi gam na kijiye
agar aap jeete hain to main haara nahin
ye naqsh-e-dard kaise utar jaaye chehre se
maine abhi aapka gam dil se utaara nahin
tere bin youn kat rahi dariya-e-zindagi mein
kashti bhi hai maajhi bhi hai,kinaara nahin
kar rakhaa hai jisne saare ghar mein ujaala
aansu hai mera ye koi toota hua taara nahin
kisko gale lagaa ke rooyen na-muraad hum
is bhari duniya mein apna koi sahaara nahin

wo aa ke poonchh den aansu hamari aankhon se
itna bhi hamare haq mein naseeb hamara nahin

Chiraagon ki roshni jab hili…

November 25, 2008
Chiraagon ki roshni jab zara hili,
laga tumhari ek aahat si mili,
Jaake dekha jab dar pe,
to phir wahi kafir hawa mili.. !!

Har hasrat bezubaan aaj bhi hai !!!

November 25, 2008

Shama-e-tamanna jawaan aaj bhi hai,
Har hasrat lekin bezubaan aaj bhi hai !
Manzilon ko nahi naseeb mere kaafile to kya,
Rahon pe mere kadmon ke nishaan aaj bhi hain !!